Shayari O Shayari

Chandani Chand se hoti hai, setaron se nehi,mohabbat ek se hoti hai hazaron se nehi



chadani chand se hogi to sitaron kya hoga,mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hoga


wo zindagi hi kya jisme pyar nahi, wo pyar hi kya jisme yaden nahi, wo yaden he kya jisme tum nahi, wo tum hi kya jisme hum nahi.



Paas rehta hai......door rehta hai.. Koi Dil mein..... zaroor rehta hai



agar hum na hote to tujhe ghazal kaun kahta, tere chehre ko kamaal kaun kahta, yeh to karishma hai mohabbat ka, warna pathharoN (stones) ko taj mahal kaun kaheta??



Kabhi to waqt se pehle aaya karo,Apni awaz sunaker haale dil bayaan karo,Hum to rehte hain aap hi ke khayalon mein,Kabhi aap bhi humara khayal kiya karo.



Na tere aane ki aas hai,na tujhe pane ki pyaas hai.phir bhi is "shareef" ka dil,tere bina udaas hai.



jabhi dekhti hai mujhe nazre jhuka late wo khuda ka shukra hai hameiN pehchan to leti woh!



Zindagi ki raho me jab aage aage jaaoge, Peeche ek saaya tum hurdum paaoge, Mudkar dekhoge to tanhaayi hogi, Agar mehsoos karoge to humko paaoge



Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon, waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon, tum paas ho to is raat se ek raat chura loon, tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.



Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
Paheli barish me train late hone ki fikr hai Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?
Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?
Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?
Internet ki duniya ke to touch me hai, lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai? Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?
To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya haiJab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?



chadani chand se hogi to sitaron kuch na hoga,mohabbat hazaron se hogi to AIDS hoga


Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein, har dil mein kahi chuppa hua gum hein



Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane DeTera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De



Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain MujhkoSonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De



Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake. Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake.Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake.



Tum milo na milo,na milne ka gham nahi,tum paas se hi gujar jaao, milne se kum nahi.maana ki tumhe hamaari kadr nahi,magar unse puchho jinhe hum haasil nahi



pyar ne ye kaisa tohfa de diyamujhko gumo ne pathar bana diyateri yaadon main hi kat gayi ye umar kehta raha tujhe kab ka bhula diya



Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhe Sujane De Baho Mein Le Le Aur, Khud Ko Bheeg Jane De Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya, Wo Choot Jayega Hai Itna Dard Ki, Tera Daaman Bheeg Jayega

aakhon ki zuban wo samajh nahi pate, honth hain magar kuch keh nahi pate, apni bebasi kis tarah kahen, koi hai jinke bina hum reh nahi paathe.



jab bhi main khud ko samjhaooN, tu mera nahi hai, dil mein koi cheekh uthta hai, nahi aisa nahi hai, kab utarta hai koi dil mein utar jaane ke baad, ki is gali ke doosri jaanib koi aur raasta nahi hai.


mere ashqon ka har qatra, tere mohabbat ki nishani hai, jo tu samjhe to moti (pearl) hai, tu na samjhe to paani hai..!!

Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho, Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho, Mujhe maut ka dar na hoga, Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho

Pyara sa ehsas ho tum, har pal mere pas ho tum, Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum, Shayad is liye.... Kuch khas ho tum.

Hasta huya dekh kar log kehte hain ke hum gam se khali hain, par unhe kya pata ke jo gam ke baag hain, hum us baag ke mali hain..

phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai

tujhe chahne wale kum na honge, waqt ke sath shayad hum na honge, chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena, lekin teri yaadoN ke haqdar sirf hum hi hoNge

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,Humko Bhool Paoge Kaise.Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye, Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai, pyar mai dard bhi mile to kya gabrana, suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....

ye kaisaa hai ehsaas, tu hi tu hai dil ke paas, neend hai ki aati nahin, aur badhti jaati hai pyaas!!!

Aapki muskan hamari kamjori hai, Keh na pana hamari majburi hai, Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko, Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?

dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,ye fasaana to nigaahon se bayaan hota hai

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte

Adhuri saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hum magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum

Pyaar toh kiya mainey bahut,magar izhaar na karna aaya ...usney poocha toh mujhsey bahut, magar ikraar na karna ayaa...

mila nahi koi dilbar aisaa, jo hamse dil lagaataa, hum to hain diljale aur, yu hi koi dil nahi jalaataa.

naam ki kya baat karte hoo, log chehre tak bhool jate hain tum samander ki baat karte hoon, log aankhon main doob jate hain

meri dua hai tu sabse nek seerat ho, teri tarah tera dil bhi khoobsoorat ho, dua se pahle mile tujhko jo tu chahe, ke khud dua ko teri haathon ki zaroorat ho!! jee chaahta hai tumse pyari si baat ho, khaamosh taare aur lambi si raat ho, phir saari raat tumse hum kahte raheN, ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho!!

fir wahi fasaana afsaana sunaati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho

Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai SaahilMujhe tanhayoun mein doobne ki aadat si ho gayee hai youn tanha jeene ki mujhe aadat si ho gayee hai Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayee hai

Ek ada aapke dil churane ki, ek ada aapke dil me bus jane ki, Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki.

Kuch nasha to aapki baat ka hai, kuch nasha to dheemi barsaat ka hai, humein aap yun hi sharabi na kahiye, is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

Woh inkar karte hain ikrar ke liye, Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye, Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale, Ankhein band karte hain didar ke liye

Woh ruthte rahe hum manate rahe, Unki raahon me palkein bichate rahe, Unhone kabhi palat ke bhi na dekha, Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.

Baag ki har kali, khushbu de apko, Suraj ki har kiran, nai subah de apko, Hum to kuch dene ke kabil nahi hain

Comments

Popular posts from this blog

Dhirubhai Notorious or Famous???????

Sri Sri kavitha

Excerpt from the book "Made to Stick"